had se baḌhtī huī ta.azīr meñ dekhā jaa.e
ḳhvāb ko ḳhvāb kī ta.abīr meñ dekhā jaa.e
dekhne ko maiñ faqat itnā bachā huuñ ya.anī
mujh ko ik manzar-e-tasvīr meñ dekhā jaa.e
khul bhī saktā hai jahāñ par mirā andāz-e-junūñ
zaḳhm jo halqa-e-zanjīr meñ dekhā jaa.e
sabr bhī jis ke nishāne pe hai aur siina bhī
hausla kitnā hai us tiir meñ dekhā jaa.e
is qadar dīda-e-giryāñ kā to haq bantā hai
ab use nāla-e-shab-gīr meñ dekhā jaa.e
tab kahīñ dard utartā hai rag-o-pai meñ 'na.īm'
sher jab 'mīr' kī tāsīr meñ dekhā jaa.e