ek to ishq kī taqsīr kiye jaatā huuñ
us pe maiñ pairvī-e-'mīr' kiye jaatā huuñ
ma.azarat ghar ke charāġhoñ se karūñgā kaise
maiñ jo tāḳhīr pe tāḳhīr kiye jaatā huuñ
ya.anī tasvīr-e-zamāñ par hai tasarruf itnā
dekhtā jaatā huuñ tahrīr kiye jaatā huuñ
bāġhbāñ tujh se to maiñ dād-talab huuñ bhī nahīñ
peḌ sunte haiñ maiñ taqrīr kiye jaatā huuñ
ye ilāqa na ho dariyā kī amal-dārī meñ
maiñ jahāñ naav ko zanjīr kiye jaatā huuñ
āḳhirash ḳhaak uḌā kar sar-e-rāhe dil kī
ek duniyā ko maiñ dil-gīr kiye jaatā huuñ
us kī buniyād meñ ik ḳhām-e-ḳhayālī hai 'na.īm'
shahr jo ḳhvāb meñ ta.amīr kiye jaatā huuñ