ḳhalq kahtī hai jise dil tire dīvāne kā
ek gosha hai ye duniyā isī vīrāne kā
ik muamma hai samajhne kā na samjhāne kā
zindagī kaahe ko hai ḳhvāb hai dīvāne kā
husn hai zaat mirī ishq sifat hai merī
huuñ to maiñ sham.a magar bhes hai parvāne kā
ka.abe ko dil kī ziyārat ke liye jaatā huuñ
āstāna hai haram mere sanam-ḳhāne kā
muḳhtasar qissa-e-ġham ye hai ki dil rakhtā huuñ
rāz-e-kaunain ḳhulāsa hai is afsāne kā
zindagī bhī to pashemāñ hai yahāñ lā ke mujhe
DhūñDtī hai koī hiila mire mar jaane kā
tum ne dekhā hai kabhī ghar ko badalte hue rañg
aao dekho na tamāshā mire ġham-ḳhāne kā
ab ise daar pe le jā ke sulā de saaqī
yuuñ bahaknā nahīñ achchhā tire mastāne kā
dil se pahuñchī to haiñ āñkhoñ meñ lahū kī būñdeñ
silsila shīshe se miltā to hai paimāne kā
haDDiyāñ haiñ ka.ī lipTī huī zanjīroñ meñ
liye jaate haiñ janāza tire dīvāne kā
vahdat-e-husn ke jalvoñ kī ye kasrat ai ishq
dil ke har zarre meñ aalam hai parī-ḳhāne kā
chashm-e-sāqī asar-e-mai se nahīñ hai gul-rañg
dil mire ḳhuun se labrez hai paimāne kā
lauh dil ko ġham-e-ulfat ko qalam kahte haiñ
kun hai andāz-e-raqam husn ke afsāne kā
ham ne chhānī haiñ bahut dair o haram kī galiyāñ
kahīñ paayā na Thikānā tire dīvāne kā
kis kī āñkheñ dam-e-āḳhir mujhe yaad aa.ī haiñ
dil muraqqa.a hai chhalakte hue paimāne kā
kahte haiñ kyā hī maze kā hai fasāna 'fānī'
aap kī jaan se duur aap ke mar jaane kā
har nafas umr-e-guzishta kī hai mayyat 'fānī'
zindagī naam hai mar mar ke jiye jaane kā