Naeem Gilani

tulu-e-subh-e-safar ki ghaDi thi yaad aaya

Naeem Gilani

Sheikhupura, Punjab, Pakistan

1972
tulū-e-sub.h-e-safar kī ghaḌī thī yaad aayā
judā.ī rāsta roke khaḌī thī yaad aayā
kisī kī ḳhanda-labī se bhī khul nahīñ paa.ī
girah to ab ke diloñ meñ paḌī thī yaad aayā
ye dil ke zaḳhm usī jañg meñ atā hue haiñ
jo tere naam pe ḳhud se laḌī thī yaad aayā
jo merā vaqt mire haath aa nahīñ rahā thā
mirī kalā.ī pe terī ghaḌī thī yaad aayā
gale mile the bichhaḌte samay jab āḳhirī baar
vo shaam donoñ pe kitnī kaḌī thī yaad aayā
rageñ badan kī yūñhī to nahīñ khiñchī huī thiiñ
koī salīb sī dil meñ gaḌī thī yaad aayā
huī hai sarf na jaane kahāñ kahāñ ai 'na.īm'
durūn-e-chashm namī to baḌī thī yaad aayā
Top Urdushayar.com