yuuñ sañg-e-intizār se kab tak bañdhe raheñ
dīvār-e-nā-rasā.ī hī kyuuñ dekhte raheñ
guzre na koī zūd-farāmosh umr-bhar
aur be-sabab galī ke darīche khule raheñ
tum se gila-guzār hai apnī ye be-gharī
kab tak tumhāre ḳhvāb se bāhar paḌe raheñ
hālat vahī hai aaj bhī ham sañg-o-ḳhisht kī
rakh de koī jahāñ pe vahīñ par dhare raheñ
yūñhī khaḌe raheñ kisī manzil kī aas meñ
gard-e-malāl-e-hijr se raste aTe raheñ
pūchhe mire masīhā-nafas se koī 'na.īm'
tāq-e-badan meñ zaḳhm kahāñ tak jale raheñ