kahīñ pe rukte hue aur kahīñ guzarte hue
ḳhajil to ḳhuub hue nāzirīñ guzarte hue
maiñ ik nigāh kī duurī pe īstāda thā
guzarne vaale ne dekhā nahīñ guzarte hue
tirī havā.eñ ki jaanā thā aur samt unheñ
mire navāh meñ ruk sī ga.iiñ guzarte hue
maiñ sab se pahle jise bhūlne meñ jaldī kī
vo yaad aayā dam-e-āḳhrīñ guzarte hue
guzar na jaa.e bashārat kī sā.at-e-avval
zarā sī der rukeñ zā.erīñ guzarte hue