Naeem Gilani

misal-e-mauja-e-KHusbu bikhar gae mere din

Naeem Gilani

Sheikhupura, Punjab, Pakistan

1972
misāl-e-mauja-e-ḳhusbū bikhar ga.e mire din
guzar ga.iiñ mirī rāteñ guzar ga.e mire din
duā-e-nīm-shabī be-asar ga.ī merī
tumhāre hote hue be-samar ga.e mire din
javāb arz-o-samā se na ban paḌā koī
maiñ un se pūchh rahā thā kidhar ga.e mire din
bas ek baar mohabbat se dil huā ḳhālī
phir us ke ba.ad udāsī se bhar ga.e mire din
maiñ mubtalā-e-ġham-e-raftagāñ huā aisā
mujhe ḳhabar na hue aur mar ga.e mire din
yahī malāl mujhe sub.h-o-shām lāhaq hai
mire sabāt se kaise mukar ga.e mire din
vafūr-e-hijr hadoñ se guzar gayā thā 'na.īm'
mujhī pe dekhiye ilzām dhar ga.e mire din
Top Urdushayar.com