be-zauq-e-nazar bazm-e-tamāshā na rahegī
muñh pher liyā ham ne to duniyā na rahegī
iizā na rahegī jo gavārā na rahegī
chheḌā mujhe duniyā ne to duniyā na rahegī
dil le ke ye kyā zid hai ki ab jaan bhī kyuuñ ho
ye bhī na rahegī bahut achchhā na rahegī
ye dard-e-mohabbat ġham-e-duniyā to nahīñ hai
ab maut bhī jiine kā sahārā na rahegī
aisā bhī koī din mirī qismat meñ hai 'fānī'
jis din mujhe marne kī tamannā na rahegī