kyā nigāhoñ ne koī ḳhvāb sajāyā na kabhī
kyā kisī ko bhī qarīb apne bulāyā na kabhī
aate rahne ke liye shukriya ai yaad ki dost
maiñ hī mujrim huuñ tirī yaad meñ aayā na kabhī
us kī album meñ to tasvīr mirī hai maujūd
us ne tasvīr ko siine se lagāyā na kabhī
maiñ tujhe kaise batā detā dil-e-nāz kā haal
hāl-e-dil maiñ ne to ḳhud ko bhī batāyā na kabhī
dil churā kar mirā kahtā hai mujhe chor ye ab
ḳhud hī chorī huā us ne to churāyā na kabhī
qahqahe auroñ kī ḳhushiyoñ meñ rahe haiñ shāmil
mere hālāt ne ḳhud mujh ko hañsāyā na kabhī
maiñ ne auroñ se sunā hai ki nasīm aatī hai
kyuuñ mujhe vaqt-e-sahar us ne jagāyā na kabhī
terī 'jāved' ye aadat hai ḳhudā ko bhī pasand
tū ne nazroñ se kisī ko bhī girāyā na kabhī