har chehra na jaane kyuuñ ghabrāyā huā sā hai
bechain sā lagtā hai taḌpāyā huā sā hai
kyā dhoka nayā koī khāyā hai mohabbat meñ
har uzv-e-badan us kā tharrāyā huā sā hai
ā.ankhoñ meñ chamak sī hai ruḳhsār meñ surḳhī sī
āġhosh meñ ulfat kī sharmāyā huā sā hai
khilne kī tamannā thī zulfoñ ke gulistāñ meñ
dil TuuT gayā gul kā murjhāyā huā sā hai
khulne meñ qabāhat hai gesū-e-mohabbat ko
chehra shab-e-hasrat kā pathrāyā huā sā hai
alfāz kī ā.ankhoñ se barsāt hai ashkoñ kī
lahja ġham-e-jānāñ se bharrāyā huā sā hai
nafrat kī shuāoñ kī yalġhār hai har jaañ par
jis qalb meñ bhī jhāñko kumhlāyā huā sā hai
ilhād kā hamla hai 'jāved' har ik jānib
aalam kā ye aalam hai paglāyā huā sā hai