Javed Jameel

hayat dauDti hai umr bhar qaza ki taraf

Javed Jameel

1958
hayāt dauḌtī hai umr bhar qazā kī taraf
jazā-e-ḳhair kī jānib ki phir sazā kī taraf
maqām-e-fikr hai ye samt-e-fikr Thiik nahīñ
safar hai tez magar hai kahāñ ḳhudā kī taraf
rahe miyāna-ravī hai yahī tarīqa-e-adl
jhukeñ na sifr kī jānib na intihā kī taraf
na jaane kaisā hai ye irtiqā zamāne kā
ki lauT lauT ke jaatā hai ibtidā kī taraf
ye kaisī jā hai jahāñ hai havā bhī masnūī
nikal ke bhaag chalo qudratī fazā kī taraf
maraz shifā kī taḌap meñ qadam uThātā hai
kabhī davā kī taraf aur kabhī duā kī taraf
pukārnā hai tirā kaam kaam kar 'jāved'
palaT ke aa.egī duniyā tirī sadā kī taraf
Top Urdushayar.com