Javed Jameel

hosh us ka hai be-KHudi uski

Javed Jameel

1958
hosh us kā hai be-ḳhudī us kī
zindagī kī har ik ghaḌī us kī
duur tak malgajā sā sannāTā
aur aahaT kabhī kabhī us kī
ishq merā hai sūfiyoñ jaisā
sirf matlūb hai ḳhushī us kī
dil ko hoñToñ se duur rakhtā hai
maar Dālegī ḳhāmushī us kī
tīrgī chhā rahī hai har jānib
bevafā.ī hai shaam sī us kī
dekh kar ḳhush-gumāñ huā hai dil
garm-joshī kamāl kī us kī
ham-safar jis kā ḳhūb-sīrat ho
ḳhūb-sūrat hai zindagī us kī
ḳhvāb meñ dil-navāziyāñ 'jāved'
aur haqīqat hai be-ruḳhī us kī
Top Urdushayar.com