kartā hai bekār kī bāteñ kaam kī koī baat nahīñ
ġhairoñ jaisī baat hai terī apnoñ jaisī baat nahīñ
jaam sabhī ke hāthoñ meñ hai haath hamāre ḳhālī haiñ
khullam-khullā nā-insāfī saaqī achchhī baat nahīñ
mahfil meñ jis ko bhī dekho rūThā rūThā lagtā hai
kaḌvāhaT hai āvāzoñ meñ koī mīThī baat nahīñ
kalima terā sapnā terā fikr tirī aur terā ḳhayāl
sirf tirī hī baat zabāñ par aur kisī kī baat nahīñ
kahne ko to kah dī tū ne apne dil kī saarī baat
sachchā.ī hai lekin ye ki ye bhī saarī baat nahīñ
kaise mileñ ham tum se yaaro kaise bulā.eñ ghar apne
ġham hī ġham haiñ paas hamāre koī ḳhushī kī baat nahīñ
nā-insāfī har jānib hai har sū zulmat hī zulmat
dekh ke ye sab kyuuñ sab chup haiñ kahte haq kī baat nahīñ
pahle kyā kyā kuchh kah Daalā phir ye kah kar saaf ga.e
kar Daalī hai bhuul zabāñ ne sochī-samjhī baat nahīñ
tere liye hī jiitā huuñ aur tere liye hī martā huuñ
muñh dekhī 'jāved' haiñ bāteñ dil se niklī baat nahīñ