Javed Jameel

wo chandni mein kuchh aisa tha tar-ba-tar tanha

Javed Jameel

1958
vo chāñdnī meñ kuchh aisā thā tar-ba-tar tanhā
maiñ dekhtā rahā manzar ye raat bhar tanhā
huī hai jaise abhī tak guzar-basar tanhā
guzār Dāleñge baaqī kā bhī safar tanhā
pukārtā huuñ tirā naam jaise sahrā meñ
hamesha aatī hai āvāz lauT kar tanhā
uqaab uḌtā hai jis tarah āsmānoñ meñ
bulandiyoñ meñ kiyā kartā huuñ safar tanhā
hamesha rahtā hai hamrāh qāfila us ke
musībat aatī nahīñ hai kisī ke ghar tanhā
vo muntazir hai koī us ke saa.e meñ aa.e
khaḌā hai duur rah-e-haq pe ik shajar tanhā
sharīk qāfila hotā to jashn ho jaatā
mile the ḳhizr safar thā mirā magar tanhā
chalī ga.ī hai tire saath zindagī 'jāved'
maiñ ho gayā huuñ tire ba.ad kis qadar tanhā
Top Urdushayar.com