vahī din hai ḳhauf-o-hirās kā vahī haal abhī bhī hai pyaas kā
vahī shaam bistar-e-marg sī vahī silsila shab-e-yās kā
vahī ās.māñ hai vahī fazā vahī nashsha shaam pe hai bapā
vahī duur shahr se hai jagah vahī sabz farsh hai ghaas kā
na rahe bashīr-o-nazīr ham na rahe fahīm-o-basīr ham
na dikhā.ī detā hai duur kā na nazar hī aatā hai paas kā
tujhe chāhiye jo koī ḳhabar mirī kāvishoñ meñ talāsh kar
mirā e'tibār hai aql par maiñ asiir kab huuñ qayās kā
jo ġhinā ke suut se ho banā jo razā kī suuī se ho silā
jo rañgā ho shukr ke rañg se mujhe shauq aise libās kā