mirī chaah meñ mire ishq meñ tū kabhī kisī se laḌā nahīñ
isī bhuul kā ye azaab hai tū mirā nahīñ maiñ tirā nahīñ
thā gulāb maiñ thī ye aarzū tire gesuoñ meñ khilūñ kabhī
nahīñ khil sakā to ye jaan le ye tirī hai merī ḳhatā nahīñ
tirī yaad mujh se bahut laḌī mire añg añg meñ zaḳhm hai
maiñ taḌaptā rahtā huuñ dard se tujhe fikr merī zarā nahīñ
mirā dil to tere hī paas hai tū ise khañgāl ke dekh le
vahāñ tū hī tū hai har ik taraf vahāñ kuchh bhī tere sivā nahīñ
tire ishq se mujhe kyā milā mirī zindagī huī maut sī
mujhe ab talāsh sukūñ kī hai mujhe ab junūn-e-hinā nahīñ
mujhe aisī zaat se ishq hai jo ho mehrbān to maut kab
hai fanā.iyat meñ nihāñ baqā hai baqā agar to fanā nahīñ