kaisā sāmāñ kaisī manzil kaisī rah kaisā safar
ham-safar hī jab nahīñ hai kaise phir hogā safar
nafs-e-ammāra se nafs-e-mutma.inna tak kī rah
ātishīñ mausam zamīñ pur-ḳhār aur tanhā safar
hasrat-e-dīdār aisī faisla-kun thī mirī
lamhe bhar meñ ho gayā ik umr sā lambā safar
pahle manzil sāmne thī ab nazar se duur hai
jaane kaise kyā huā kis moḌ par bhaTkā safar
in chaTānoñ meñ kahāñ ye hausla rokeñ mujhe
kartā huuñ 'jāved' maiñ bhī sūrat-e-dariyā safar