Javed Jameel

hain mere wajud mein maujzan meri ulfaton ki nishaniyan

Javed Jameel

1958
haiñ mire vajūd meñ maujzan mirī ulfatoñ kī nishāniyāñ
na huiiñ nasīb jo qurbateñ unhīñ qurbatoñ kī nishāniyāñ
thakī haarī shakl niDhāl sī kisī imtihāñ ke savāl sī
mire jism-o-jān pe sabt haiñ tirī furqatoñ kī nishāniyāñ
kabhī āñkheñ ġhaiz se tar-ba-tar kabhī la.an-ta.an zabān par
mujhe merī jaañ se aziiz haiñ tirī nafratoñ kī nishāniyāñ
ho vo bū-e-gul ki ho rāgnī ho vo ābshār ki chāñdnī
haiñ qadam qadam pe sajī huiiñ tirī nuz.hatoñ kī nishāniyāñ
ka.ī baar roz ka.ī jagah mirī ruuh paḌhtī hai fātiha
mire puure jism meñ dafn haiñ mirī hasratoñ kī nishāniyāñ
kahīñ nāchtī huiiñ mastiyāñ kahīñ bhuuk se haiñ laḌā.iyāñ
kahīñ daulatoñ ke muzāhire kahīñ ġhurbatoñ kī nishāniyāñ
vo zamīn ho ki ho āsmāñ vo pahāḌ hoñ ki hoñ vādiyāñ
haiñ chahār samt mire ḳhudā tirī rahmatoñ kī nishāniyāñ
Top Urdushayar.com