Javed Jameel

daim ho uske husn ki nuzhat KHuda kare

Javed Jameel

1958
daa.im ho us ke husn kī nuzhat ḳhudā kare
aur mujh meñ ye junūn kī lazzat ḳhudā kare
sanjīdgī kā rañg ho thoḌā sā pyaar meñ
baaqī magar ho rañg-e-sharārat ḳhudā kare
muddat se koī tiir na ḳhanjar na sañg-o-ḳhisht
dushman ho merā zinda salāmat ḳhudā kare
ġhamgīn huuñ latīfe haiñ phir bhī zabān par
qaa.em rahe ye zauq-e-zarāfat ḳhudā kare
poshīda haiñ gunāhoñ meñ barbādiyoñ ke raaz
nāzil ho dil pe harf-e-nadāmat ḳhudā kare
majme.a kī kaifiyāt kā manzar ajiib thā
baḌhtā rahe ye zor-e-ḳhitābat ḳhudā kare
kahte haiñ apnī auroñ kī sunte nahīñ haiñ log
ho jaa.e kaash shauq-e-samā.at ḳhudā kare
kahte haiñ ahl-e-dīn ki taqvā hī diin hai
vo jaan jaa.eñ kaash iqāmat ḳhudā kare
merī duā yahī hai sharīk-e-safar ke saath
aa jaa.e ham ko husn-e-nizāmat ḳhudā kare
taḳhlīq hai bulandī-e-afkār kī atā
aa.e tire kalām meñ rif.at ḳhudā kare
har shaḳhs kaash siikh le ādāb pyaar ke
dil meñ na ho kisī ke kudūrat ḳhudā kare
'jāved' chhīn saktā hai kyā koī us kā rizq
jis shaḳhs kī hamesha kifālat ḳhudā kare
Top Urdushayar.com