Javed Jameel

jaisi hai badan mein gul-ruKH ke waisi hi nazakat baaton mein

Javed Jameel

1958
jaisī hai badan meñ gul-ruḳh ke vaisī hī nazākat bātoñ meñ
hoñToñ meñ hai jitnī shīrīnī utnī hī halāvat bātoñ meñ
kyā ḳhuub tavāzun chalne meñ kyā ḳhuub latāfat hañsne meñ
kyā ḳhuub adāoñ meñ shoḳhī kyā ḳhuub sharārat bātoñ meñ
āñkhoñ meñ hai nashsha sā chhāyā ruḳhsār hue surḳhī maa.il
hoñToñ pe larazte haiñ armāñ pur-kaif harārat bātoñ meñ
zīnat kā tarīqa kyā kahne fashion kā salīqa kyā kahne
ādāb kī rañgat kāmoñ meñ ash.ār kī nik.hat bātoñ meñ
betāb haiñ jis ko sunñe ko vo baat na lā.eñge lab par
mas.hūr vo rakkheñge phir bhī aisī hai nafāsat bātoñ meñ
parvāz meñ hastī kī ham ko kitnī hī bulandī ho hāsil
aa.e na mizājoñ meñ sheḳhī aa.e na ra.ūnat bātoñ meñ
hal saare masā.il ho jaa.eñ aapas kī kudūrat miT jaa.e
ho jhuuT se sab ko be-zārī ho rañg-e-sadāqat bātoñ meñ
is daur ke shā.er meñ logo tahzīb o shu.ūr o soz kahāñ
me.aar vahī hai sheroñ kā jaisī hai jihālat bātoñ meñ
'jāved' ajab ahbāb tire karte haiñ ye zaa.e.a vaqt tirā
haiñ ilm se kosoñ duur magar phir bhī hai tavālat bātoñ meñ
Top Urdushayar.com