Dheerendra Singh Faiyaz

kisi qalam se kisi ki zaban se chalta hun

Dheerendra Singh Faiyaz

Chandla, Madhya Pradesh, India

1987
kisī qalam se kisī kī zabāñ se chaltā huuñ
maiñ tiir kis kā huuñ kis kī kamāñ se chaltā huuñ
maiñ thak gayā huuñ Thahar kar kisī samundar sā
bā-rañg-e-abr tire āstāñ se chaltā huuñ
tū chhoḌ degā adhūrā mujhe kahānī meñ
isī liye maiñ tirī dāstāñ se chaltā huuñ
jo mere siine ke baa.eñ taraf dhaḌaktā hai
usī ke naqsh-e-qadam par vahāñ se chaltā huuñ
agarche chāho to logoñ ko beach le aanā
maiñ aaj apne tire darmiyāñ se chaltā huuñ
Top Urdushayar.com