Dheerendra Singh Faiyaz

dekhte dekhte hi sal guzar jata hai

Dheerendra Singh Faiyaz

Chandla, Madhya Pradesh, India

1987
dekhte dekhte hī saal guzar jaatā hai
par tirā ġham hai ki baḌhtā hai Thahar jaatā hai
tairtī rahtī hai āñkhoñ meñ tū har shab aise
jaise dariyā meñ koī chāñd utar jaatā hai
kaun us ḳhvāb kī ta.abīr pe kartā hai yaqīñ
ḳhvāb jo niiñd se laḌtā huā mar jaatā hai
ham ne āñkhoñ kī zabānoñ pe lagā.e haiñ qufl
varna dil terī hī āvāzoñ se bhar jaatā hai
phir se duniyā kī taraf dhyān lagāyā hai magar
ḳhaak itne meñ tirā dil se asar jaatā hai
Top Urdushayar.com