āsmāñ khol diyā pairoñ meñ rāheñ rakh diiñ
phir nasheman pe usī shaḳhs ne shāḳheñ rakh diiñ
jab koī fikr jabīñ par huī raqsāñ maiñ ne
ḳhvāb āñkhoñ meñ rakhe āñkhoñ pe palkeñ rakh diiñ
darmiyāñ ḳhāmushī pahle to na aa.ī thī magar
bātoñ bātoñ meñ hī us ne ka.ī bāteñ rakh diiñ
us ne jab toḌ diye saare ta.alluq mujh se
khīñch kar siine se phir maiñ ne bhī sāñseñ rakh diiñ
merī tanhā.ī se tañg aa ke mire hī ghar ne
aaj thak-hār ke dahlīz pe āñkheñ rakh diiñ