Kamil Bahzadi

ye zamana kahin mujhse na chura le mujhko

Kamil Bahzadi

Nagpur, Maharashtra, India

1934
ye zamāna kahīñ mujh se na churā le mujh ko
koī is ālam-e-dahshat se bachā le mujh ko
maiñ isī ḳhaak se niklūñgā sharāra ban kar
log to kar ga.e miTTī ke havāle mujh ko
koī jugnū koī taarā na ujālā degā
raah dikhlā.eñge ye paañv ke chhāle mujh ko
un charāġhoñ meñ nahīñ huuñ ki jo bujh jaate haiñ
jis kā jī chāhe havāoñ meñ jalā le mujh ko
dard kī aañch baḌhegī to pighal jā.ūñgā
apne āñchal meñ koī aa ke chhupā le mujh ko
is qadar maiñ ne sulagte hue ghar dekhe haiñ
ab to chubhne lage āñkhoñ meñ ujāle mujh ko
tazkira merā kitāboñ meñ rahegā 'kāmil'
bhuul jā.eñge mire chāhne vaale mujh ko
Top Urdushayar.com