Fani Badayuni

rah jae ya bala se ye jaan rah na jae

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
rah jaa.e yā balā se ye jaan rah na jaa.e
terā to ai sitam-gar armān rah na jaa.e
jo dil kī hasrateñ haiñ sab dil meñ hoñ to behtar
is ghar se koī bāhar mehmān rah na jaa.e
iqrār-e-vasl to hai aisā na ho na aa.eñ
mushkil hamārī ho kar āsān rah na jaa.e
ai soz-e-ġham jalā de ai dard ḳhuuñ rulā de
kuchh un kī dil-lagī kā sāmān rah na jaa.e
sab manzileñ huiiñ tai mahshar hai aur ai dil
ye ek rah gayā hai maidān rah na jaa.e
vo jām-e-kufr-parvar bhar de ki mast kar de
mastoñ ke dil meñ saaqī īmān rah na jaa.e
aa kar palaT na ḳhālī ai marg jaan le jā
'fānī' ke sar pe terā ehsān rah na jaa.e
Top Urdushayar.com