sāya-e-zulf nahīñ shola-e-ruḳhsār nahīñ
kyā tire shahr meñ sarmāya-e-dīdār nahīñ
vaqt paḌ jaa.e to jaañ se bhī guzar jā.eñge
ham divāne haiñ mohabbat ke adākār nahīñ
kyā tire shahr ke insān haiñ patthar kī tarah
koī naġhma koī pāyal koī jhankār nahīñ
kis liye apnī ḳhatāoñ pe raheñ sharminda
ham ḳhudā ke haiñ zamāne ke gunahgār nahīñ
surḳh-rū ho ke nikalnā to bahut mushkil hai
dast-e-qātil meñ yahāñ saaz hai talvār nahīñ
mol kyā zaḳhm-e-dil-o-jāñ kā milegā 'kāmil'
shāḳh-e-gul kā bhī yahāñ koī ḳharīdār nahīñ