ye kis ne duur se āvāz dī hai
fazāoñ meñ abhī tak naġhmagī hai
sitāre DhūñDte haiñ un kā āñchal
shamīm-e-sub.h dāman chūmtī hai
ta.alluq hai na ab tark-e-ta.alluq
ḳhudā jaane ye kaisī dushmanī hai
ridā-e-zulf meñ guzrī thī ik shab
magar āñkhoñ meñ ab tak niiñd sī hai
mirī taqdīr meñ bal paḌ rahe haiñ
tirī zulfoñ meñ shāyad barhamī hai