dil kī har larzish-e-muztar pe nazar rakhte haiñ
vo merī be-ḳhabarī kī bhī ḳhabar rakhte haiñ
dard meñ lutf-e-ḳhalish kaif-e-kashish paatā huuñ
kyā vo phir azm-e-tamāshā-e-jigar rakhte haiñ
jis taraf dekh liyā phūñk diyā tūr-e-majāz
ye tire dekhne vaale vo nazar rakhte haiñ
ḳhud taġhāful ne diyā muzhda-e-bedād mujhe
allāh allāh mire naale bhī asar rakhte haiñ
bebasī dekh ye sau baar kiyā ahd ki ab
tujh se ummīd na rakkheñge magar rakhte haiñ
hai tire dar ke sivā koī Thikānā apnā
kyā kahīñ tere ujāḌe hue ghar rakhte haiñ
koī is jabr-e-tamannā kī bhī had hai 'fānī'
ham shab-e-hijr meñ ummīd-e-sahar rakhte haiñ