Usha Bhadoriya

akasr meri zamin ne mere imtihan liye

Usha Bhadoriya

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1954
akasr mirī zamīñ ne mire imtihāñ liye
zinda huuñ apne sar pe ka.ī āsmāñ liye
bechārgī kabhī mujhe sābit na kar sakī
kyā kyā mirī hayāt ne mere bayāñ liye
apnī sadāqatoñ se bhī lagne lagā hai Dar
chalnā hai is zamīñ pe sarāb-e-gumāñ liye
aur maiñ ki apnī zaat se nisbat nahīñ mirī
har shaḳhs phir rahā hai mirī dāstāñ liye
māñgī nahīñ hai maiñ ne kisī āsmāñ se dhuup
zinda huuñ apne hāthoñ meñ apnā jahāñ liye
saarā qusūr jaise mirī bebasī kā thā
ilzām apne sar pe kisī ne kahāñ liye
unvān iztirāb kiye kitne fāsle
tum ne qadam qadam pe mire imtihāñ liye
pahnā unheñ to maiñ bhī dhanak-posh ho ga.ī
apnā samajh ke maiñ ne tumhāre nishāñ liye
'ūshā' tamām umr kaTī intizār meñ
aayā na koī ghar meñ dil-e-mehrbāñ liye
Top Urdushayar.com