Usha Bhadoriya

ek aashna akasr pas se guzarta hai

Usha Bhadoriya

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1954
ek āshnā akasr paas se guzartā hai
mujh pe merī sachchā.ī āshkār kartā hai
kis qadar haTelā hai terā be-zabāñ saaya
jism kī tarah akasr ruuh meñ utartā hai
aap kis liye mujh ko dekhte haiñ hairat se
aadmī mohabbat meñ kuchh bhī kar guzartā hai
kyā ḳhabar ye bastī hī āñdhiyoñ meñ uḌ jaa.e
ik parinda par apne kholne se Dartā hai
tere naam ke saa.e rakh ke apne hoñToñ par
sirf maiñ bikhartī huuñ tū kahāñ bikhartā hai
ik qarīb kā rishta phertā hai jab nazreñ
aadmī nahīñ martā e'tibār martā hai
be-zabāñ lakīreñ haiñ nā-murād ḳhāke haiñ
dekhnā hai ab in meñ kaun rañg bhartā hai
ḳhauf qurbatoñ kā bhī ḳhauf fāsloñ kā bhī
zindagī kā har lamha Dūbtā ubhartā hai
jab tumhāre baare meñ sochtī huuñ maiñ 'ūshā'
āsmān se dil meñ nuur sā utartā hai
Top Urdushayar.com