akasr tanhā.ī se mil kar ro.e haiñ
ham ne apne ashk aag se dho.e haiñ
bahut nibhā.ī len-den kī rasmeñ bhī
kuchh aañsū paa.e haiñ kuchh ġham kho.e haiñ
jab bhī bārish ne miTTī se muñh moḌā
jalte sūraj ne zarrāt bhigo.e haiñ
ḳhabar jahāñ miltī hai apne hone kī
ham us manzil par bhī kho.e kho.e haiñ
jab ḳhud ko paanā hī mushkil kaam huā
kyuuñ kachche dhāge meñ phuul piro.e haiñ
bāl-o-par paate hī uḌe havāoñ meñ
ham ne jo nazdīk ke rishte Dho.e haiñ
tum ko kyā mālūm mirī tanhā.ī ne
lafzoñ meñ apne jazbāt samo.e haiñ
ham kyā jāneñ ḳhvāboñ kī narmī kyā hai
ham kab ḳhushbū kī bāñhoñ meñ so.e haiñ
bahā na le jaa.e un ko bārish 'ūshā'
chaTTānoñ par ḳhvāb vafā ke bo.e haiñ