añdherī shab meñ charāġh-e-rah-e-vafā denā
ta.alluqāt ko nazdīk se sadā denā
jahāñ khaḌī huuñ vahāñ se palaT nahīñ saktī
abhī na mujh ko mohabbat kā vāsta denā
maiñ bebasī kā salīqa nibhā.ūñgī kab tak
baḌhe jo pyaas charāġh-e-sadā bujhā denā
bujhe bujhe sabhī manzar haiñ āshnā.ī ke
mire laboñ ko koī harf-e-mudda.ā denā
umiid haath se dāman agar chhuḌāne lage
to phir mujhe bhī mire shahr kā pata denā
bhaTak na jā.ūñ kahīñ ġham kī rahguzāroñ meñ
nigāh-o-dil ko ujāloñ kā rāsta denā
rafāqatoñ ko jo tanhā.iyāñ satāne lageñ
udāsiyoñ ko koī rañg-e-āshnā denā
agar tumheñ bhī koī iḳhtiyār mil jaa.e
to phir taḌapte diloñ ko kahīñ milā denā
likhe haiñ ashkoñ se lamhāt-e-zindagī 'ūshā'
unheñ kitāb-e-mohabbat meñ tum sajā denā