Usha Bhadoriya

aasman se sahife utarte rahe

Usha Bhadoriya

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1954
āsmāñ se sahīfe utarte rahe
raushnī se magar log Darte rahe
zindagī itnī majbūr sī ho ga.ī
hādse mujh ko ashkoñ se bharte rahe
jin ko sab kuchh milā un ko sab kuchh milā
jo bikharte rahe bas bikharte rahe
ban ga.iiñ jab bhī hamrāz tanhā.iyāñ
dil kī har baat ham dil se karte rahe
aate jaate nazar tujh se miltī rahī
aa.ine zāviyoñ par ubharte rahe
chand yādeñ khilīñ aur murjhā ga.iiñ
bas havāoñ meñ zarre bikharte rahe
aap aate rahe giit gaate rahe
ghar ke dīvār-o-dar bhī sañvarte rahe
kuchh bhī TuuTā nahīñ kuchh bhī bikhrā nahīñ
hādse rāstoñ se guzarte rahe
kab kiyā ham ne 'ūshā' kisī se gila
ḳhud meñ jiite rahe ḳhud meñ marte rahe
Top Urdushayar.com