Usha Bhadoriya

hum kabhi KHud se koi baat nahin kar pate

Usha Bhadoriya

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1954
ham kabhī ḳhud se koī baat nahīñ kar paate
zindagī tujh se mulāqāt nahīñ kar paate
baiTh jaatā hai jahāñ dard thakā-hārā sā
ḳhvāb bhī us se savālāt nahīñ kar paate
un se phir aur kisī shai kī tavaqqo kaisī
chand lamhe bhī jo ḳhairāt nahīñ kar paate
zindagī be-sar-o-sāmāñ hī guzar jaatī hai
din jo kar lete haiñ vo raat nahīñ kar paate
umr-bhar un ke muqaddar meñ haiñ sūkhe dariyā
apnī koshish se jo barsāt nahīñ kar paate
sabr kī baat baḌī shukr ke dariyā gahre
lekin un se guzar auqāt nahīñ kar paate
kabhī bhūle se muqaddar jo hameñ detā hai
suraḳh-rū ham vahī lamhāt nahīñ kar paate
ik na ik ḳhauf hameñ rok liyā kartā hai
ham bayāñ Dūbte jazbāt nahīñ kar paate
paas aate haiñ jahāñ apne irāde 'ūshā'
ham kabhī un kī mudārāt nahīñ kar paate
Top Urdushayar.com