aa.ine se baat karnā itnā āsāñ bhī nahīñ
aks kī tah se ubharnā itnā āsāñ bhī nahīñ
ḳhvāhisheñ siine meñ ug aatī haiñ jañgal kī tarah
zindagī bāñhoñ meñ bharnā itnā āsāñ bhī nahīñ
apne hī qadmoñ kī aahaT jis jagah chubhne lage
aisī rāhoñ se guzarnā itnā āsāñ bhī nahīñ
jāntī huuñ maiñ judā hai mere ḳhvāboñ kā mizāj
in ujāloñ meñ sañvarnā itnā āsāñ bhī nahīñ
saath rahtā hai hamesha terā ġham terā ḳhayāl
ab huā mālūm marnā itnā āsāñ bhī nahīñ
kaisī kaisī ūñchī dīvāreñ khaḌī haiñ har taraf
dil meñ jo hai kar guzarnā itnā āsāñ bhī nahīñ
rakh diyā hai aap kī chāhat ne mujh ko jis jagah
is bulandī se utarnā itnā āsāñ bhī nahīñ
sochnā paḌtā hai tanhā.ī meñ ḳhud ko bārhā
apne hī sach se mukarnā itnā āsāñ bhī nahīñ
jaane 'ūshā' kitne bandhan kitne rishte toḌ kar
dil kī ḳhālī god bharnā itnā āsāñ bhī nahīñ