ḳhudī kī fitrat-e-zarrīñ ke rāz-hā-e-darūñ
adā-shanās haqīqat mile koī to kahūñ
ḳhudī agar hai to haiñ surḳh-rū hayāt-o-mamāt
ḳhudī nahīñ to hayāt-o-mamāt ḳhār-o-zabūñ
ḳhudī vo chiiz hai nādāñ ki jis ke badle meñ
mile jo daulat-e-kaunain bhī mujhe to na luuñ
alāmateñ haiñ ye sab ek mard-e-kāmil kī
ḳhulūs-e-rūh o yaqīn-e-tamām o soz-e-darūñ
samajh sakā na samajh kar bhī aaj tak koī
ye āb-o-gil kā fasāna ye āb-o-gil kā fusūñ
mirī nazar meñ hai rāz-e-darūn-e-mai-ḳhāna
magar ye soch rahā huuñ kahūñ to kis se kahūñ
jinheñ talāsh-e-sukūñ hai unheñ ye kyā mālūm
ki ek mahshar-e-ḳhāmosh hai jahān-e-sukūñ