Arzoo Saharanpuri

azal ke din jinhen dekha tha bazm-e-husn-e-pinhan mein

Arzoo Saharanpuri

Saharanpur, Uttar pradesh, India

1899
azal ke din jinheñ dekhā thā bazm-e-husn-e-pinhāñ meñ
simaT aa.eñ vahī ra.anā.iyāñ tasvīr-e-jānāñ meñ
mirā zauq-e-nazar ab us maqām-e-āshiqī par hai
jahāñ uljhā huā hai husn bhī ḳhvāb-e-pareshāñ meñ
baḌhā de kaash koī vus.ateñ anvār-e-ma.anī kī
mujhe tarmīm karnā hai mazāq-e-chashm-e-hairāñ meñ
abhī gunjā.isheñ dekhī kahāñ haiñ ahl-e-ālam ne
samā jā ai ajal aa tū bhī ḳhalvat-ḳhāna-e-jāñ meñ
har ik tār-e-garebāñ hāsil-e-sad-barq-e-aiman hai
ḳhudā-ma.alūm kitne husn haiñ chāk-e-garebāñ meñ
ḳhudā rakkhe mire dāman meñ hai ik phuul aisā bhī
khaTaktā hai jo kāñTe kī tarah chashm-e-gulistāñ meñ
azal ke roz se arsh-o-malā.ik sajda karte haiñ
koī to baat hai ai 'ārzū' tarkīb-e-insāñ meñ
Top Urdushayar.com