Fani Badayuni

yun nazm-e-jahan darham-o-barham na hua tha

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
yuuñ nazm-e-jahāñ darham-o-barham na huā thā
aisā bhī tire husn kā aalam na huā thā
phir chheḌ diyā vus.at-e-mahshar kī fazā ne
saudā tire vahshī kā abhī kam na huā thā
yā ishrat-e-do-rozā thā yā hasrat-e-dīroz
vo lamha-e-hastī jo abhī ġham na huā thā
sad haif vo gul ho kaf-e-gul-chīñ meñ jo ab tak
āzurda-e-āvezish-e-shabnam na huā thā
qātil hī mirā kyuuñ ise kahtā hai zamāna
maanā vo sharīk-e-saf-e-mātam na huā thā
raaz aaj mire dam se huā rāz-e-mohabbat
kuchh raaz na thā jab koī mahram na huā thā
paate hī ḳhajil rahm kā dariyā umaD aayā
parda mirī āñkhoñ kā abhī nam na huā thā
rusvā na kar is soz ko ai sham-e-lab-e-gor
jo vāqif-e-dil-sozi-e-hamdam na huā thā
ghar ḳhair se taqdīr ne vīrāna banāyā
sāmān-e-junūñ mujh se farāham na huā thā
ik kufr sarāpā ne kiyā hashr kā qaa.il
maiñ mo'taqid-e-hashr-e-mujassam na huā thā
har dil meñ na.ī shān-e-tajallī hai ki 'fānī'
nashtar hai vo andāz jo marham na huā thā
Top Urdushayar.com