kis qayāmat kā hai bāzār tire kūche meñ
bikne aate haiñ ḳharīdār tire kūche meñ
to vo iisā hai ki ai nabz-shanās-e-kaunain
ibn-e-maryam bhī hai bīmār tire kūche meñ
izn-e-dīdār to hai aam magar kyā kahiye
chashm-e-bīnā bhī hai bekār tire kūche meñ
jis ne dekhā ho nazar bhar ke tirā husn-e-tamām
koī aisā bhī hai ai yaar tire kūche meñ
'ārzū' sā kabhī dekhā hai koī kāfir-e-ishq
yuuñ to haiñ saiñkaḌoñ dīñ-dār tire kūche meñ