jo sakūñ na raas aayā to maiñ ġham meñ Dhal rahā huuñ
ġham-e-zindagī se kah do ki maiñ ruḳh badal rahā huuñ
maiñ banā huuñ ashk-e-ġham ḳhud tumheñ kyuuñ maiñ khal rahā huuñ
ye nikālo merā qissa ki maiñ ḳhud nikal rahā huuñ
tirī bazm-e-ḳhud-ġharaz ne ka.ī rañg badle lekin
maiñ harīf-e-sham.a ban kar usī tarah jal rahā huuñ
yūñhī Tālte rahe tum mirī ḳhvāhishoñ ko lekin
magar ab zarā sambhaltā maiñ bahut machal rahā huuñ
rah-e-shauq meñ unheñ bhī lagī mere saath Thokar
vo sambhal chuke haiñ lekin maiñ abhī sambhal rahā huuñ
vahī azm-e-mustaqil hai rah-e-zindagī meñ 'aḳhtar'
na ġham-e-shikasta-pā.ī na maiñ haath mal rahā huuñ