masjid-o-mandir kā yuuñ jhagḌā miTānā chāhiye
is zamīñ par pyaar kā ik ghar banānā chāhiye
maz.haboñ meñ kyā likhā hai ye batānā chāhiye
us ko giitā aur use qur.āñ paḌhānā chāhiye
vo dīvālī ho ke baisākhī ho christmas ho ke iid
mulk kī har qaum ko mil kar manānā chāhiye
dosto is se baḌī koī ibādat hī nahīñ
aadmī ko aadmī ke kaam aanā chāhiye
kaun se maz.hab meñ likkhā hai ki nafrat dharm hai
mil ke is duniyā se nafrat ko miTānā chāhiye
chāhte hai jo ka.ī TukḌoñ meñ is ko bāñTanā
aise ġhaddāroñ se bhārat ko bachānā chāhiye