jis ke dil meñ koī armān nahīñ hotā hai
merī nazroñ meñ vo insān nahīñ hotā hai
ḳhud-kushī jurm samajhte haiñ zamāne vaale
jaan denā koī āsān nahīñ hotā hai
har ghaḌī dil meñ rahā kartā hai yādoñ kā hujūm
ye vo ghar hai kabhī vīrān nahīñ hotā hai
bhūlī-bisrī huī yādeñ bhī rulā detī haiñ
be-sabab koī pareshān nahīñ hotā hai
vahshat-e-dil kā taqāza hai ki bas pyaar karo
pyaar ke saude meñ nuqsān nahīñ hotā hai
umr-bhar ke liye aa jaao mire dil meñ raho
apne ghar meñ koī mehmān nahīñ hotā hai
husn-e-aḳhlāq se māñ-bāp kī ḳhidmat karnā
farz to hotā hai ehsān nahīñ hotā hai