hañs hañs kar aañsū pī jaanā aap ke bas kī baat nahīñ
apne ghar meñ aag lagānā aap ke bas kī baat nahīñ
dīvānoñ kī āñkheñ bhī ā.īne jaise hotī haiñ
dīvānoñ se aañkh milānā aap ke bas kī baat nahīñ
ab to maut uThā.e ham ko to shāyad ham uTh jaa.eñ
ham ko apne dar se uThānā aap ke bas kī baat nahīñ
har ik gaam pe us kī galī meñ tanz ke patthar chalte haiñ
us kī galī meñ ānā-jānā aap ke bas kī baat nahīñ
yuuñ to ham ne aap kī ḳhātir hosh gañvā.e jog liyā
lekin ab ham ko samjhānā aap ke bas kī baat nahīñ
aap kī ye tanhā.ī ik din merā naam pukāregī
uljhī huī zulfeñ suljhāna aap ke bas kī baat nahīñ