kyuuñ na nairañg-e-junūñ par koī qurbāñ ho jaa.e
ghar vo sahrā ki bahār aa.e to zindāñ ho jaa.e
barq dam lene ko Thahre to rag-e-jāñ ho jaa.e
fitna-e-hashr mujassam ho to insāñ ho jaa.e
jauhar-e-ā.īna dil hai vo tasvīr hai tū
dil vo ā.īna ki tū dekh ke hairāñ ho jaa.e
ġham vo rāhat jise qismat ke dhanī paate haiñ
dam vo mushkil hai ki maut aa.e to āsāñ ho jaa.e
ishq vo kufr ki īmān hai dil vāloñ kā
aql majbūr vo kāfir jo musalmāñ ho jaa.e
zarra vo rāz-e-bayābāñ hai jo ifshā na huā
dasht-e-vahshat hai vo zarra jo bayābāñ ho jaa.e
ġham-e-mehsūs vo bātil jise kahte haiñ majāz
dil kī hastī vo haqīqat hai jo uryāñ ho jaa.e
ḳhuld mai-ḳhāne ko kahte haiñ ba-qaul-e-vā.iz
kaaba but-ḳhāne ko kahte haiñ jo vīrāñ ho jaa.e
sajda kahte haiñ dar-e-yār pe mar jaane ko
qibla vo sar hai jo ḳhāk-e-rah-e-jānāñ ho jaa.e
maut vo din bhī dikhā.e mujhe jis din 'fānī'
zindagī apnī jafāoñ pe pashīmāñ ho jaa.e