Akhtar Azad

ab husn-o-ishq ke bhi qisse badal gae hain

Akhtar Azad

Hazaribagh, Jharkhand, India

1946
ab husn-o-ishq ke bhī qisse badal ga.e haiñ
manzil thī ek lekin raste badal ga.e haiñ
kis par yaqīn kiije ye daur matlabī hai
lagtā hai ḳhuun ke bhī rishte badal ga.e haiñ
āñkheñ batā rahī haiñ zāhir hai haal dil kā
vo bevafā nahīñ the kitne badal ga.e haiñ
ham jānte haiñ phir bhī pahchānñā hai mushkil
kuchh dostoñ ke itne chehre badal ga.e haiñ
un ko pata thā shāyad ik din lagegī Thokar
achchhā hai vaqt se vo pahle badal ga.e haiñ
jab se milī hai daulat ādāb bhuul baiThe
ab bāt-chīt ke bhī lahje badal ga.e haiñ
hai vaqt kā taqāza chup-chāp ghar meñ rahiye
chāhat vafā mohabbat jazbe badal ga.e haiñ
ma.asūmiyat kahīñ par gum ho ga.ī hai 'aḳhtar'
lagtā hai shahr jā kar bachche badal ga.e haiñ
Top Urdushayar.com