Akhtar Azad

duniya tujhe chahe kuchh bhi kahe hum jaan-e-tamanna kahte hain

Akhtar Azad

Hazaribagh, Jharkhand, India

1946
duniyā tujhe chāhe kuchh bhī kahe ham jān-e-tamannā kahte haiñ
ham terī nazar meñ ġhair sahī phir bhī tujhe apnā kahte haiñ
phūloñ meñ misl-e-gulāb hai tū tāroñ meñ hasīñ mahtāb hai tū
tū sab se achchhā lagtā hai tujhe sab se achchhā kahte haiñ
tū dilbar hai dil-dār hai tū tū jān-o-dil se pyārā hai
fitrat ne jis ko sañvārā hai tujhe husn sarāpā kahte haiñ
koī ishq kī tujh ko jaan kahe koī dil kā tujhe armān kahe
dil vāloñ kī is bastī meñ tujhe aur bhī kyā kyā kahte haiñ
pal-bhar ke liye ārām nahīñ ab us ke sivā koī kaam nahīñ
tirī sūrat dekhā karte haiñ tujh ko ā.īna kahte haiñ
tū laakh chhupā.e ishq magar chehre se ayaañ ho jaatā hai
kahne vaale to duniyā meñ mujhe aaj bhī terā kahte haiñ
Top Urdushayar.com