ye farsh-o-arsh kyā hai allāh jāntā hai
pardoñ meñ kyā chhupā hai allāh jāntā hai
jo bhī burā-bhalā hai allāh jāntā hai
bandoñ ke dil meñ kyā hai allāh jāntā hai
laakh apne dil kā sikka duniyā se tū chhupā.e
khoTā hai yā kharā hai allāh jāntā hai
jā kar jahāñ se vāpas aatā nahīñ hai koī
vo baam kaun sā hai allāh jāntā hai
ye sub.h-o-shām dekho ye dhūp-chhāñv dekho
sab kyuuñ ye ho rahā hai allāh jāntā hai
nekī-badī ko apnī kitnā hī tū chhupā.e
allāh ko patā hai allāh jāntā hai
qismat ke naam ko sab jaane nahīñ haiñ 'aḳhtar'
qismat meñ kyā likhā hai allāh jāntā hai