Akhtar Azad

taron ki utarti hai Doli aur chandni dulhan hoti hai

Akhtar Azad

Hazaribagh, Jharkhand, India

1946
tāroñ kī utartī hai Dolī aur chāñdnī dulhan hotī hai
jis raat meñ do dil milte haiñ vo raat suhāgan hotī hai
jab dil se dil mil jaate haiñ to kyā kyā gul khil jaate haiñ
kuchh ġhair gale lag jaate haiñ kuchh apnoñ se an-ban hotī hai
jalte haiñ jahāñ vaale lo jaleñ ham rāh-e-vafā meñ saath chaleñ
duniyā ko chhoḌo duniyā to dil vāloñ kī dushman hotī hai
sūrat mirī āñkhoñ meñ dekho kyā dekh rahe ho ā.īna
jis aañkh meñ koī bas jaa.e vo aañkh bhī darpan hotī hai
bas un ke liye hī raat aur din dil merā dhaḌaktā hai lekin
jab sāmne vo aa jaate haiñ tez aur bhī dhaḌkan hotī hai
tum bin ye bahāroñ kā mausam lagtā hai mujhe patjhaḌ kī tarah
tum saath raho to har ik rut mere liye sāvan hotī hai
tasvīr ho terī jab dil meñ ġham dil ke qarīb aa.e kaise
maiñ yaad tujhe kar letā huuñ jab koī bhī uljhan huī hai
nikhre to bane ik tāj-mahal phaile to ḳhushbū aur ġhazal
lekin jo simaTtī hai chāhat mahbūb kā dāman hotī hai
Top Urdushayar.com