had se guzar na jā.ūñ maiñ aisā na kījiye
mastī-bharī nigāh se dekhā na kījiye
palkoñ ko rāstoñ meñ bichhāyā na kījiye
yuuñ apne intizār ko rusvā na kījiye
paḌh leñge log chehre se dil kī kitāb ko
itnā kisī ke baare meñ sochā na kījiye
ġhairoñ pe e'tibār to hai baat duur kī
apnā bhī ho sake to bharosa na kījiye
merī nazar se aap kahāñ bach ke jā.eñge
maiñ aa.ina huuñ aap kā parda na kījiye
yuuñ mujh ko e'tibār bahut hai magar huzūr
va.ade to TuuT jaate haiñ va.ada na kījiye
rishta mirā zamīn se mazbūt hai bahut
ab mujh ko āsmāñ se pukārā na kījiye
ḳhud ko jahāñ se aadmī chhoTā dikhā.ī de
itnā bhī apne-āp ko ūñchā na kījiye