band hoñToñ se bhī iz.hār-e-tamannā karte
aa.ina ban ke tire husn ko dekhā karte
apnā saaya bhī yahāñ ġhair nazar aatā hai
ajnabī shahr meñ ham kis pe bharosa karte
us kī mahfil meñ to ik bhiiḌ thī dīvānoñ kī
pahle dil ahl-e-nazar ahl-e-vafā kyā karte
ishq har haal meñ pāband-e-vafā hotā hai
ham to badnām the kyuuñ aap ko rusvā karte
itnī guzrī hai jahāñ aur guzar jā.egī
zindagī ke liye itnā nahīñ sochā karte
jab talak saañs chale bas yuuñ hī chalte rahiye
chal ke do-chār qadam yuuñ nahīñ Thahrā karte
ai ḳhudā ham tirī vahdat pe yaqīñ rakhte haiñ
kyuuñ tire dar ke sivā ham kahīñ sajda karte